Monday, August 13, 2007

Pakistan Zindabad

National song
Pakistan Zindabad
Aao baccho sair karayain tum ko Pakistan ki Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Mashriq mein Bengal sunehra her ik taraf haryala hai Yahan ka percham sonay aur chandi mein tulnay wala hai Sailaboan nay seencha is ko tufano nay pala hai Yahan ka baccha baccha apni qaum pay marnay wala hai Yaheen Siraj-ud-Daula nay duniya apni qurban ki Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Deikho ye hai Sind yahan zaalim Dahir ka tola tha Yaheen Mohammad Bin Qasim Allah 0 Akbar bola tha Tuti huee talwaroan mein kya bijli thi kya shola tha Hindi kay kuchh Ghazi thay lakhoan ka lashkar dola tha Yahan kay zarray zarray mein ab daulat hai emaan ki Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Ye apna Punjab saja hai haray bharay darbaroan say Jaga diya Iqbal nay is ko Aazadi kay naaroan say Is kay jawano nay khela hai apnay khoon kay dharoan say Dushman tharra jatay hain ab bhi in ki lal karoan say Qadam qadam per dhaag jami hai yahan kay sheir jawan ki Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Ye ilaqa sarhad ka hai is ki nirali shaan yahan Thokar mein zalzalay yahan hain muthi mein tufaan yahan Sar pay kafan baandhay phirta hai deikho her ik pathan yahan Qaum kahay to abhi laga dain baazi ye sub jaan ki Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Aik taraf Khyber deikho sarhad ki shaan barhata hai Sheir-e-khuda ki qu'at ka afsana ye dohtara hai Aik taraf Kashmir hamay jannat ki yaad dilata hai Ye Ravi aur Atak ka paani amrit ko sharmata hai Pyaray shaheedoan ka sadqa hai daulat Pakistan ki Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad

No comments: